Nov 072009
 
Sai ka kehna hai sabka maalik ek hai
paayega woh usko jiski neeyat nek hai
Hari roop mein Sai ko jaano re
Sai ka kehna tum sab maano re
Sai ka kehna hai sabka maalik ek hai
Sairam, Sairam, Sairam ………
 
Sai ka kehna hai kisi bhooke pyaase ko
tum bhojan karwado wohi pooja hai
Sai ka kehna hai yadi besaharon ko
gar tum sahara do wohi pooja hai
ye duniya kaayam hai
jab tak bhakti shesh hai
Hari roop mein Sai ko jaano re
Sai ka kehna tum sab maano re
Sai ka kehna hai sabka maalik ek hai
Sairam, Sairam, Sairam ………
 
Sai ka kehna hai ye sab dharmon wale
gar milke rahe saare wohi pooja hai
Sai ka kehna hai na chota bada koi
tum sabse pyaar karo wohi pooja hai
kudrat ke sab bande hain
noor sab mein ek hai
Hari roop mein Sai ko jaano re
Sai ka kehna tum sab maano re
Sai ka kehna hai sabka maalik ek hai
paayega woh usko jiski neeyat nek hai
Sairam, Sairam, Sairam ………
 
Hari roop mein Sai ko jaano re
Sai ka kehna tum sab maano re
Sai ka kehna hai sabka maalik ek hai
Sairam, Sairam, Sairam ………
Print Friendly, PDF & Email

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.