Nov 032009
 

Khaali Haath Na Jaaye

Sai ji ki Shirdi mein jo sachhe man se aaye
Bin maange wo sab kuch paata
Khaali haath na jaaye, khaali haath na jaaye
Jai Sairam Jai Sairam ……………

Teri daya ka saagar Sai kabhi na hota khaali hai
Dar par tere aate Sai laakhon roz sawali hain
Sabki binti sunkar Sai, bigdi tu hi banaye
Bin maange wo sab kuch paata
Khaali haath na jaaye, khaali haath na jaaye
Jai Sairam Jai Sairam ……………

Shraddha aur vishwas ka deepak
Jisne dil mein jagaya hai
Usko apni god mein Sai ne hi sada bithaya hai
Sai ne bithaya hai
Sai Sai japne se sab khushiyaan mil jaaye
Bin maange wo sab kuch paata
Khaali haath na jaaye, khaali haath na jaaye
Jai Sairam Jai Sairam ……………

Rane ne bhi pukaara jab jab Sai ne diya sahara hai
Teri sharan mein aakar rehta na koi besahara hai
Na koi besahara hai
Beech bhanwar se sab ji naiiya Sai paar lagaye
Bin maange wo sab kuch paata
Khaali haath na jaaye, khaali haath na jaaye
Jai Sairam Jai Sairam ……………

Sai ji ki Shirdi mein jo sachhe man se aaye
Bin maange wo sab kuch paata
Khaali haath na jaaye, khaali haath na jaaye
Jai Sairam Jai Sairam ……………

Print Friendly, PDF & Email

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.