Feb 112010
 

Tujh mein hi sabko paake
tujh mein hi man rama ke
hooooooooo
main tumhi se Saibaba
main tumhi ko maang loonga
tujh mein hi sabko paake
tujh mein hi man rama ke

laal tera main anokha
daan bhi main anokha hi loonga
heere moti maange duniya
heere moti ka main kya karunga
soone ghar mein …….
soone ghar mein aaj Baba
saath apne le jaake rahunga
tujh mein hi sabko paake
tujh mein hi man rama ke
main tumhi se Saibaba

Sai naam hi mera jeevan
Sai Sai hi rut ta rahunga
aur kuch bhi Sai mere
main zubaan se kabhi na kahunga
tu hi Nanak ……..
tu hi Nanak mera Shyaam tu hi
hai Mohammad mera Raam tu hi
tujh mein hi sabko paake
tujh mein hi man rama ke
main tumhi se Saibaba

Shirdi ki sundarta
mehsoos karoon main yahaan se
kaisi chavdi kaisi Dwaarika
Sai tumne sajayi wahaan pe
dayaa kar dee………
dayaa kar de Sai deep teri
karu naukirya wahaan pe
tujh mein hi sabko paake
tujh mein hi man rama ke
main tumhi se Saibaba
main tumhi se Saibaba

Print Friendly, PDF & Email

 Leave a Reply

You may use these HTML tags and attributes: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>

(required)

(required)

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.